20+ Alone Sad Shayari
Hi Dosto Aj K Is Blog Main Main Ap K Sath 20+ Alone Sad Shayari Sahre Karon Ga Jo K Yaqeenan Ap Ko Zaroor Pasand Ai Gi Agr Ap Ko Aj Ki Yeh Alone Sad Shayari Pasand Ay To Is Ko Apne Dosto K Sath Bhi Zaroor Sahre Karna Or Comment Main Apni Ray Ka Izhar Zaoor Kerna To Chalye Aj Ki Ye Alone Sad Shayari Shuro Kerte Hain Lakin Us Se Pahli Bata Du K Ap Is K Ilawa Bhi Bohat Sari Shayari Hamari Website Pr Par Sakte Hain Jis Main Attitude shayari, 2 line Shayari, Sad Shayari, Love Shayari and Many More. Lets Get Started
![]() |
| sad shayari status |
dushmanon ne kya dushmani ki haidoston ne bhi kya kami ki hai
दुश्मनों ने जो दुश्मनी की हैदोस्तों ने भी क्या कमी की है- Habib Jalib
![]() |
| alone status |
humne dekha hai zamaane ka badalna lekinunke badle hue tevar nahin dekhe jaate(Attitude Quote in Hindi)हमने देखा है ज़माने का बदलना लेकिनउनके बदले हुए तेवर नहीं देखे जाते- Ali Ahmad Jalili
![]() |
| sad shayari whatsapp status |
apne hone ka kuch ehsas na hone se hua
khud se milna mera ik shakhs ke khone se hua
(Dard Bhari shayari in Hindi)
अपने होने का कुछ एहसास न होने से हुआ
खुद से मिलना मेरा इक शख्स के खोने से हुआ
(Dard Bhari shayari in Urdu)
اپنے ہونے کا کچھ احساس نہ ہونے سے ہوا
خود سے ملنا میرا اک شخص کے کھونے سے ہوا
![]() |
| sad status shayari |
apne saae se chaunk jaate hainumr guzri hai is qadar tanha- Gulzar
![]() |
| very sad shayari status |
ab to unki yaad bhi aati nahin
kitni tanha hogayi tanhaiyan
(Tanhai shayari in Hindi)
अब तो उनकी याद भी आती नहीं
कितनी तनहा होगयी तन्हाईयाँ
(Tanhai shayari in Urdu)
اب تو انکی یاد بھی آتی نہیں
کتنی تنہا ہوگیی تنہائیاں
- Firaq Gorakhpuri
![]() |
| shayari |
ek mehfil mein kaee mehfilein hoti hain sharik
jis ko bhi pass se dekhoge akela hoga
- Nida Fazli
![]() |
| sad shayari |
ab is ghar ki abaadi mehmaano par hai
koi aa jaae to waqt guzar jaata hai
- Zehra Nigaah
![]() |
| true line shayari status |
shahr mein kis se sukhan rakhiye kidhar ko chaliye
itni tanhai to ghar mein bhi hai ghar ko chaliye
- Naseer Turabi
![]() |
| shayari status |
tum se mile to khud se zyada
tumko akela paaya humne
- Irfan Siddiqi
![]() |
| alone shayari |
wo nahin hai na sahi tark-e-tamanna na karo
dil akela hai ise aur akela na karo
(Loneliness shayari in Hindi)
वो नहीं है न सही तर्क-ए-तमन्ना न करो
दिल अकेला है इसे और अकेला न करो
(Akelapan shayari in Urdu)
وو نہیں ہے نہ سہی ترکے تمنّا نہ کرو
دل اکیلا ہے اسے اور اکیلا نہ کرو
- Mahmood Ayaz
![]() |
| akelapan shayari |
udasiyan hain jo din mein to shab mein tanhai
basa ke dekh liya shahr-e-arzu main ne
- Junaid Hazin Lari
![]() |
| hindi sad shayari status |
un ka gham un ka tazavvur un ki yaad
kat rahi hai zindagi araam se
(Sad Shayari of Urdu in Hindi)
उन का ग़म उन का तज़व्वुर उन की याद
कट रही है ज़िन्दगी आराम से
(Sad Urdu Poetry)
ان کا غم ان کا تزوّر ان کی یاد
کٹ رہی ہے زندگی آرام سے
- Mahshar Inayati
![]() |
| shayari city |
ab judai ke safar ko mere asaan karo
tum mujhe khwaab mein aakar na pareshaan karo
(Judai Shayari in Hindi)
अब जुदाई के सफ़र को मेरे आसान करो
तुम मुझे ख्वाब में आकर न परेशान करो
(Judai Shayari in Urdu)
اب جدائی کے سفر کو میرے آسان کرو
تم مجھے خواب میں آکر نہ پریشان کرو
- Munawwar Rana
![]() |
| alone boy status |
mohabbat ek khushbu hai hamesha saath chalti hai
koi insan tanhai mein bhi tanha nahin rehta
- Bashir Badr
![]() |
| alone whatsapp status |
ye kaisa qafila hai jis mein sab log tanha hain
ye kis barzakh mein hain hum sab tumhein bhi sochna hoga
- Himayat Ali Shayar
![]() |
| #alone shayari |
shahr ki bhiid mein shamil hai akela-pan bhi
aaj har zehn hai tanhai ka maara dekho
- Hasan Najmi Sikandarpuri
![]() |
| shayari whatsapp status |
mere ghar mein to koi bhi nahin hai
khuda jaane main kis se dar raha huun
- Ameer Qazalbash
![]() |
| dear alone status |
Samandar Na Sahi Par Ek Nadi Toh Honi Chahiye,
Tere Shahar Mein Zindagi Kahin Toh Honi Chahiye
समंदर न सही पर एक नदी तो होनी चाहिए,
तेरे शहर में ज़िंदगी कहीं तो होनी चाहिए।
![]() |
| alone hindi shayari |
Eid aai tum na aae kya maza hai eid ka
eid hi to naam hai ik dusre ki diid ka
(Eid Shayari in Hindi)
ईद आई तुम न आए क्या मज़ा है ईद का
ईद ही तो नाम है इक दूसरे की डीड का
(Eid Shayari in Urdu)
عید ای تم نہ ے کیا مزہ ہے عید کا
عید ہی تو نام ہے اک دوسرے کی دید کا
![]() |
| new shayari |
us se milna to use eid mubarak kahna
ye bhi kehna ki meri eid mubarak karde
(Eid Mubarak poetry in Hindi)
उस से मिलना तो उसे ईद मुबारक कहने
ये भी कहना कि मेरी ईद मुबारक करदे
(Eid Mubarak poetry in Urdu)
اس سے ملنا تو اسے عید مبارک کہنا
یہ بھی کہنا کی میری عید مبارک کردے
- Dilawar Ali Aazar
![]() |
| sad love shayari |
hum ne tujhe dekha nahin kya eid manaen
jis ne tujhe dekha ho use Eid Mubarak
(Eid Mubarak Status in Hindi)
हम ने तुझे देखा नहीं क्या ईद मनाएं
जिस ने तुझे देखा हो उसे ईद मुबारक
(Eid Mubarak status in Urdu)
ہمنے تجھے دیکھا نہیں کیا عید مانیں
جس نے تجھے دیکھا ہو اسے عید مبارک
- Liaqat Ali Aasim
![]() |
| painful love shayaris |
eid khushiyon ka din sahi lekinik udaasi bhi saath laati haizakhm ubharte hain jaane kab kab kejaane kis kis ki yaad aati hai- Farhat Ehsas
Dosto Aj Ki Yeh Alone Sad Shayari Ap Ko Kaise Lagi Comment Ker K Zaroor Batain Sath Apne Dosto K Sath Bhi Share Karein Thanks For Watching
Tags
one sided love shayari,love shayari,alone shayari,shayari,true line shayari,shayari status video,alone shayari status,alone shayari status video,sad shayari,alone hindi shayari,sad shayari status,alone royal01 shayari,alone shayari status boy,alone shayari status girl,alone shayari status boys,alone shayari full screen,alone shayari status girls,alone shayari status hindi,shayari city,alone shayari status female,alone shayari status in hindi,alone shayari status whatsapp





















